shayariurdu.org is sharing Dil Shayari is a form of poetry expressing Dil Shayari’s feelings of the heart. When there is a tremendous pain in someone’s love Shayari, these emotions come out in the form of Shayari in Urdu. Read the Best Shayari On Love Poetry in Urdu collection.
Dil Shayari | Love Poetry in Urdu
Sham-e-firaq ab na puch aayi aur aa ke Tal gayi
Dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gayi
شام فراق اب نہ پوچھ آئی اور آ کے ٹل گئی
دل تھا کہ پھر بہل گیا جاں تھی کہ پھر سنبھل گئی
Dil se to har moamla kar ke chale the saaf ham
Kahne mein un ke samne baat badal badal gai
دل سے تو ہر معاملہ کر کے چلے تھے صاف ہم
کہنے میں ان کے سامنے بات بدل بدل گئی
UTh kar to aa gaye hain tiri bazm se magar
Kuch dil hi janta hai ki kis dil se aaye hain
اٹھ کر تو آ گئے ہیں تری بزم سے مگر
کچھ دل ہی جانتا ہے کہ کس دل سے آئے ہیں
Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke
دنیا نے تیری یاد سے بیگانہ کر دیا
تجھ سے بھی دل فریب ہیں غم روزگار کے
Janta hai ki vo na aenge
Phir bhi masruf-e-intizar hai dil
جانتا ہے کہ وہ نہ آئیں گے
پھر بھی مصروف انتظار ہے دل
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai
Par Nahi Taqat-e-parvaz Magar Rakhti Hai
دل سے جو بات نکلتی ہے اثر رکھتی ہے
پر نہیں طاقت پرواز مگر رکھتی ہے
Aur Kya Dekhne Ko Baaqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
اور کیا دیکھنے کو باقی ہے
آپ سے دل لگا کے دیکھ لیا
Dil Na-Umeed To Nahi Nakam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Sham Magar Sham Hi To Hai
دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے
Zuba’n Zuba’n Mein Mohabbat Ka Wird Lekin
Dilon Dilon Mein Mahez Waqt Ka Guzaara Hai
زباں زباں میں محبت کا ورد ہے لیکن
دِلوں دِلوں میں معض وقت کا گزارا ہے
Dil Ajab Shaher Ki Jis Par Bhi Khula Dar Is Ka
Wo Musafir Ise Har Samt Se Barbad Kare
دل عجب شہر کہ جس پر بھی کھلا در اس کا
وہ مسافر اسے ہر سمت سے برباد کرے
Zakham Jhele Daag Bhi Khaaye Bohat
Dil Laga Kar Hum To Pachtaye Bohat
زخم جھیلے داغ بھی کھائے بہت
دل لگا کر ہم تو پچھتائے بہت
Sham Se Kuch Bujha Sa Rahta Hun
Dil Hua Hai Chirag Muflis Ka
شام سے کچھ بجھا سا رہتا ہوں
دل ہوا ہے چراغ مفلس کا
Marsiye Dil Ke Kai Kah Ke Diye Logon Ko
Shahr-e-Dilli Mai Hai Sab Paas Nishani Us Ki
مرثیے دل کے کئی کہہ کے دئیے لوگوں کو
شہر دلی میں ہے سب پاس نشانی اس کی