Shayari Urdu is sharing Inspirational Shayari In Urdu Inspirational Shayari Two Lines Poetry. In this Magical Poetry collection, you will feel love and sadness both together.
Read and share the images of Inspirational Shayari Two Lines – Urdu Poetry by famous poets. Share your favorite Inspirational Shayari Two Lines on the web, Facebook, Twitter, Instagram, and blogs.
Farishte Se Barh Kar Hai Insaan Ban’na,
Magar Iss Mein Lagti Hai Mehnat Zyada
فرشتے سے بڑھ کر ہے انسان بننا
مگر اس میں لگتی ہے محنت زیادہ
Rooh Matti Se Ya Matti Rooh Se Tang Hai,
Dono Ke Beech Shayad Sukoon o Aman Ki Jang Hai
روح مٹی سے یا مٹی روح سے تنگ ہے
دونوں کے بیچ شاید سکون و امن کی جنگ ہے
Kaash Koi Toh Aesa Ho,
Jo Ander Se Bahar Jaisa Ho
کاش کوئی تو ایسا ہو
جو اندر سے باہر جیسا ہو
Ajnabi Ki Nazar Se Nazar Na Milao
Nazaron Se Aashiq Deewane Huye,
Apno Ki Nazar Ko Nazar Bhi Na Aao
Dekhte Dekhte Apne Bigane Huye,
Apni Hee Nazar Mein Nazar Band Ho Jao
Nazar e Bad Se Gulshan Weerane Huye
Ahmaqana Hai Dard Bayaa’n Karna,
Aqal Hai Zabt Ki Inteha Karna
احمقانہ ہے درد بیاں کرنا
عقل ہے ضبط کی انتہا کرنا
Koi Zindagi ki Azmaishon Se Guzara
Koi Ishq Ka Rog Laga Betha,
Koi Kalam Se Dard Likhne Laga
Koi Shayar Khud Ko Bana Betha
کوئی زندگی کی آزمائشوں سے گزرا
کوئی عشق کا روگ لگا بیٹھا
کوئی قلم سے درد لکھنے لگا
کوئی شاعر خود کو بنا بیٹھا
Rangeen Duniya Ke Rangeen Logon Mein, Naam Na Likh Mera
Tauba Karlunga, Marne Se Pehle Anjam Na Likh Mera
رنگین دنیا کہ رنگین لوگوں میں ،نام نہ لکھ میرا
توبہ کر لونگا، مرنے سے پہلے انجام نہ لکھ میرا
Logon Se Milta Tha Gham, Main Seh Na Saka,
Akela Rehna Chahta Tha Magar, Reh Bhi Na Saka
لوگوں سے ملتا تھا غم میں سہہ نہ سکا
اکیلا رہنا چاہتا تھا مگر رہ بھی نہ سکا
Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai,
Phir Andheron Mein Kar Gila Rab Kyun Ujala Nahi Hai
کر نفسی خواہیشات پوری ابھی من کالا نہیں ہے
پھر اندھیروں میں کر گلہ رب کیوں اُجالا نہیں ہے
Tarap Dekhani Parti Hai,
Tab Hee Toh Zam Zam Milta Hai
Mar Gaya Krishna, Mar Gaya Rama, Mar Gayi Seeta Bai,
Arey Poojan Uski Kariye Jisko Maut Na Aayi
مر گیا کررشنا، مر گیا راما، مر گئی سیتا بائی
ارے پوجن اس کی کرئیے جس کو موت نہ آئی
Neend Na Wekhe Bistra, Teh Bhuk Na Wekhe Maas,
Maut Na Wekhe Umar Nu, Teh Ishq Na Wekhe Zaat
نیند نہ ویکھے بسترا ، تے بھک نہ ویکھے ماس
موت نہ ویکھے عمر نوں ، تے عشق نہ ویکھے ذات
Badal Jaate Hain Woh Log Waqt Ki Tarah,
Jinhein Hadh Se Zyaada Waqt Diya Jaata Hai
بدل جاتے ہیں وہ لوگ وقت کی طرح
جنہیں حد سے زیادہ وقت دیا جاتا ہے
Na Zameen Apni Na Aasman Apna,
Duniya Mein Nahi Koi Maqam Apna
نہ زمین اپنی نہ آسمان اپنا
دنیا میں نہیں کوئی مقام اپنا
Jissey Dhundta Hai Mann Yahan Wahan,
Woh Toh Basta Hai Tute Huye Dil’on Mein
جس سے ڈھونتا ہے مَن یہاں وہاں
وہ تو بستا ہے ٹُوٹے ہوئے دِلوں میں
Waqt Halaat Aur Zindagi,
Insan Ko Badal Dete Hain
وقت ، حالات اور زندگی
انسان کو بدل دیتے ہیں