Shayari Urdu is sharing Neend Shayari In Urdu Inspirational Shayari Two Lines Poetry. In this Magical Poetry collection, you will feel love and sadness both together.
Read and share the images of Neend Shayari Two Lines – Urdu Poetry by famous poets. Share your favorite Neend Shayari Two Lines on the web, Facebook, Twitter, Instagram, and blogs.
Lete Hi Naam Us Ka Sote Se Chaunk Uthe
Hai Khair ‘Mir’-Sahib Kuch Tum Ne Khawab Dekha
لیتے ہی نام اس کا سوتے سے چونک اٹھے
ہے خیر میرؔ صاحب کچھ تم نے خواب دیکھا
Kaun De Ga Sukoon Aankhon Ko,
Kisko Dekhun Ke Neend Aa Jaye
کون دے گا سکون آنکھوں کو
کس کو دیکھوں کہ نیند آجائے
Jo Muyasir Ho Teri Deed Roz Khawabon Mein,
Ba Khuda Neend Ko Main Apna Sahara Kar Lu
جو میسر ہو تیری دید روز خوابوں میں
با خدا نیند کو میں اپنا سہارا کرلوں
Hum Woh Be Dard Hain,
Khawab Ganwah Kar Jinhein Neend Aa Jaati Hai
Bahut Dard Chupe Hain Raat Ke Har Pahelu Mein,
Acha Ho Ke Kuch Deir Ke Liye Neend Aa Jaye
Sukoon De Na Saki Rahatein Zamane Ki,
Jo Neend Aayi Tere Gham Ki Chaon Mein Aayi
Umar Jalwon Mein Basar Ho Yeh Zaruri Toh Nahi
Har Shab e Gham Ki Seher Ho Yeh Zaruri Toh Nahi,
Neend Toh Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai
Unke Aagosh Mein Sar Ho Yeh Zaruri Toh Nahi
Uss Shaks Se Bus Itna Sa Taluq Hai,
Woh Pareshan Ho Toh Humein Neend Nahi Aati
Neend Bhi Neelam Ho Jati Hai Bazar Ishq Mein,
Itna Asaan Nahi Hota Kisi Ko Bhool Jaana
Neend Na Wekhe Bistra, Teh Bhuk Na Wekhe Maas,
Maut Na Wekhe Umar Nu, Teh Ishq Na Wekhe Zaat
نیند نہ ویکھے بسترا ، تے بھک نہ ویکھے ماس
موت نہ ویکھے عمر نوں ، تے عشق نہ ویکھے ذات
Mohabbat Mili Toh Neend Bhi Apni Na Rahi Faraz,
Gumnaam Zindagi Thi Toh Kitna Sukoon Tha
Palkon Ko Gham e Hijr Ne Aram Na Baksha,
Aankhon Se Nahi Neend Muqaddar Se Uri Hai
پلکوں کو غمِ ہجر نے آرام نہ بخشا
آنکھوں سے نہیں نیند مقدر سے اُڑی ہے
Saza Yeh Dee Ke Aankhon Se Cheen Lee Neendein,
Kasoor Yeh Tha Jeene Ke Khawab Dekhe Thay
سزا یہ دی کہ آنکھوں سے چھین لیں نیندیں
قصور یہ تھا جینے کے خواب دیکھے تھے
Jab Se Para Hai Teri Nigahon Se Waasta,
Aati Nahi Hai Neend Sitaron Se Pooch Lo
جب سے پڑا ہے تیری نگاہوں سے واستا
آتی نہیں ہے نیند ستاروں سے پوچھ لو
Phir Teri Yaad Mein Aankhen Huyi Shabnam Shabnam,
Phir Wohi Neend Na Aane Ke Zamane Aaye
Dil Ki Yeh Hasrat Thi Tujhe Dekheinge Khawabon Mein,
Na Neend Aayi, Na Tum Aaye, Guzar Gayyi Raat Yaadon Mein
Apna Toh Yeh Kaam Hai Bhai Dil Ka Dard Jalate Rehna,
Jhaag Jhaag Kar Un Raaton Mein Shair o Geet Gaate Rehna
Soh Jao Mohsin Koi Sukha Hua Patta Hoga,
Tere Aangan Mein Kahan Unke Kadam Aate Hain